Sunday, 3 May 2020

Zakaat Part 10

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 10 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ 

*❧ Masla:* Zakaat ke paise se kunwaan khudwaana, sadak banwaana, masjid ke liye zameen khareedna wagaira jaaiz nahin hai, is liye ke zakaat ki adaayegi ke sahi hone ke liye mustahiq ko is ka maalik banaana shart hai.

📓 [Shaami: 7/226 Baabu Masrafiz Zakaat] 

*❧ Masla:* Zakaat ki niyyat se qarz maaf karne se zakaat ada nahin hogi.

📓 [Shaami: 6/494, Kitaabuz Zakaat]

*❧ Masla:* Kisi ek hi aadmi ko nisaab ke baqadr zakaat ka maal dedena makrooh hai aur jab kisi mustahiq ke paas nisaab ke baqadr maal jama hojaaye to use zakaat dena jaaiz nahin.

📓 [Shaami: 7/256, Baabu Masrafiz Zakaat]

*❧ Kin logon ko zakaat dena afzal hai?*

❧ Sab se pehle apne rishtedaar bhaai bahen aur un ki aulaad, chacha, phoophi, khaala, maamoon, saas, sasur, daamaad wagaira mein se jo zarooratmand hon un ko zakaat dena afzal hai. Is ke baad apne padosiyon ya apne shaher ke logon mein se jo ziyaada zarooratmand hon, phir jis ko dene mein Deen ka ziyaada nafa ho jaise ilme Deen ke talba. In logon ko zakaat dene mein dohra sawaab hai.

📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat]

   [[..Alhamdulillah Mukammal..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Saturday, 2 May 2020

Zakaat Part 9

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 09 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz nahin?*

(1) Woh shakhs jis par zakaat farz ho, aisa shakhs shareeat ki nigaah mein "Maaldaar" hai.

📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(2) Woh shakhs jis par zakaat to farz na ho lekin zaroorat se zaaid zameen, makaan ya koi aur saamaan furniture, bartan wagaira us ke paas maujood ho aur us ki qeemat nisaab ke baqadr ho.

📓 [Shaami: 7/238, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(3) Maan baap, Daada daadi, Naana naani oopar tak.

📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(4) Beta beti, Pota poti, Nawaasa nawaasi neeche tak.

📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat]

(5) Shohar, Bivi. 

📓 [Shaami: 27/226, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(6) Gair Muslim.

📓 [Shaami: 7/249, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(7) Maaldaar aadmi ki naabaalig aulaad. 

📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(8) Sayyed aur Bani Haashim (Abbaas, Haaris aur Abu Taalib ki aulaad).

📓 [Shaami: 7/245, Baabu Masrafiz Zakaat]

  [[..Next - 10, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Friday, 1 May 2020

Zakaat Part 8

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 08 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz hai?*

*(1) Faqeer:* Woh shakhs jo saahabe nisaab na ho aur na us ke paas nisaab ke baqadr zaroorat se zaaid saamaan ho.

📓 [Shaami: 7/205, Baabu Masrafiz Zakaat] 

*(2) Miskeen:* Woh shakhs jis ke paas kuchh bhi na ho.

📓 [Shaami: 7/208, Baabu Masrafiz Zakaat] 

*(3) Qarzdaar:* Woh shakhs jis ke zimme logon ka qarz ho aur us ke paas itna maal na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi rahe.

📓 [Shaami: 7/219, Baabu Masrafiz Zakaat]

*(4) Musaafir:* Woh shakhs jo haalate safar mein mohtaaj hogaya ho (chaahe apne watan mein maaldaar ho) use baqadre zaroorat zakaat dena jaaiz hai.

📓 [Shaami: 7/223, Baabu Masrafiz Zakaat]

  [[..Next - 09, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Thursday, 30 April 2020

Zakaat Part 7

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 07 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(1) Agar saahabe nisaab banne ki qamri taareekh yaad na ho to gaur-o-fikr ke baad jis taareekh ka zan gaalib ho woh mutayyan hogi. Agar kisi taareekh ka bhi zan gaalib na ho to khud koi qamri taareekh mutayyan karle.

📓 [Ahsanul Fataawa: 4/255] 

(2) Agar nisaabe zakaat par saal mukammal hone se pehle koi zakaat ada karna chaahe to us ki ijaazat hai.

📓 [Shaami: 7/59, Baabu Zakaatil Ganam] 

(3) Saal ke darmiyaan jo maal badha us par saal ka guzarna zaroori nahin hai, saal ke mukammal hone se ek din pehle tak jo bhi maal aayega us ki zakaat nikaalna farz hai.

📓 [Shaami: 7/40-46, Baabu Zakaatil Ganam] 

(4) Agar kisi ke paas nisaab ke baraabar ya us se ziyaada maal hai aur us ke zimme qarz bhi hai to qarz ki miqdaar nikaalne ke baad nisaab ke baqadr maal rehta hai to baqiya raqm ki zakaat ada karna farz hai aur agar nisaab ke baqadr maal nahin rehta hai to zakaat farz na hogi. 

📓 [Shaami: 6/456, Kitaabuz Zakaat] 

(5) Agar saahabe nisaab ka doosre ke zimme qarz ho ya doosre ke zimme Saamaane tijaarat ki qeemat ho to doosri cheezon ke saath us ki bhi zakaat ada karde aur is ki bhi gunjaaish hai ke jab qarz ya saamaane tijaarat ki qeemat wasool ho is waqt pichhle saalon ki bhi zakaat ada kare, albatta aisa qarz jis ke milne ki bilkul ummeed na ho us par zakaat farz nahin.

📓 [Shaami: 7/97, Baabu Zakaatil Maal]

  [[..Next - 08, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Wednesday, 29 April 2020

Zakaat Part 6

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 06 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Zakaat ada karna kab farz hai?* 

​❧ Zakaat ka jo nisaab shareeat ne muqarrar kiya hai us ke maalik hone ke baad qamri (islaami) taareekh ke etebar se jis taareekh ko ek saal mukammal hojaaye us taareekh ko zakaat ki adaayegi farz hojaati hai. 

​❧ Zakaat ki adaayegi ke liye shareeat mein Ramzaan ka maheena mutayyan nahin hai, balke har aadmi ke liye zakaat ka maheena aur taareekh alag alag hai, jis shakhs ke paas qamri maah ki jis taareekh mein nisaab ke baqadr maal aaye, us ke liye hamesha wahi taareekh zakaat ke hisaab ke liye mutayyan rahegi. Lihaaza woh shakhs usi taareekh mein zakaat ada karne ka ehtemaam kare, Ramzaan ka intezaar na kare, taakheer karna buri baat hai.

📓 [Shaami: 6/485, 497, Kitaabuz Zakaat] 

​❧ Maslan ek shakhs 2 Safar 1431H ko pehli baar nisaabe zakaat ka maalik huwa, saal ke darmiyaan maal ghatta badhta raha lekin agle saal 2 Safar 1432H ko us ke paas nisaab ke baqadr ya us se ziyaada maal maujood hai to us shakhs par apni milkiyat mein maujood sona, chaandi, naqd raqm, bank mein mahfooz raqm, tijaarati plot aur dukaan mein maujood tijaarati saamaan wagaira; sab ki majmooi qeemat jod kar 2.5% ke lihaaz se zakaat ada karna farz hai.

📓 [Shaami: 7/40, 46, Baabu Zakaatil Ganam]

  [[..Next - 07, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Tuesday, 28 April 2020

Zakaat Part 5

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 05 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(4) Makaan, dukaan, kaarkhaana, bartan, kapde, kitaabein, furniture, silaai machine, gaadi, kiraaye par di jaane waali cheezein, sanati aalaat aur woh machines jo saamaan tayyaar karti hain aur khud baaqi rehti hain chaahe kitni hi qeemat ke hon; un par zakaat farz nahin hai. Aibatta agar un mein se koi bhi cheez tijaarat ki hai, to us par zakaat farz hai. 

📓 [Shaami: 6/471, Kitaabuz Zakaat] 

(5) Sone chaandi ki bani huwi tamaam cheezon par zakaat farz hai. Jaise sone chaandi ke zewraat, bartan, sikke, tamge (medal) wagaira.

📓 [Shaami: 7/76, Baabu Zakaatil Maal] 

(6) Tijaarat ki garz se jo bhi cheez khareedi jaaye us par zakaat farz hai, khwaah woh zameen ho ya koi aur saamaan, is liye zakaat nikaalte waqt dukaan mein jitni cheezein bechne ki hon in sab ki qeemat ka hisaab laga kar zakaat nikaalna farz hai.

📓 [Badaaye Ussanaaye: 2/2, Kitaabuz Zakaat]

  [[..Next - 06, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Monday, 27 April 2020

Zakaat Part 4

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 04 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(1) Agar kisi ke paas sona ya chaandi donon hon, lekin kisi ek ka nisaab poora na ho, to donon ko mila kar qeemat lagaai jaayegi, agar donon ki qeemat mil kar sone ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ko pahonch jaaye, to zakaat farz hojaayegi.

📓 [Shaami: 7/89, Baabu Zakaatil Maal]

(2) Zakaat ada karte waqt ya zakaat ka maal alag karte waqt zakaat ki niyyat zaroori hai, yaani dil mein iraada ho ke zakaat nikaal raha hoon. Bagair niyyat ke zakaat ada na hogi, haan albatta kisi ko zakaat keh kar dena zaroori nahin, balke hadiya keh kar de to bhi zakaat ada hojaayegi.

📓 [Shaami: 6/489, Baabu Zakaatil Maal] 

(3) Zakaat mein sona, chaandi, tijaarati maal, ya un ki qeemat se kapda, galla ya koi aur saamaan khareed kar dena bhi jaaiz hai. 

📓 [Fataawa Daarul Uloom: 6/215]

  [[..Next - 05, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁