Sunday, 3 May 2020

Zakaat Part 10

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 10 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁ 

*❧ Masla:* Zakaat ke paise se kunwaan khudwaana, sadak banwaana, masjid ke liye zameen khareedna wagaira jaaiz nahin hai, is liye ke zakaat ki adaayegi ke sahi hone ke liye mustahiq ko is ka maalik banaana shart hai.

📓 [Shaami: 7/226 Baabu Masrafiz Zakaat] 

*❧ Masla:* Zakaat ki niyyat se qarz maaf karne se zakaat ada nahin hogi.

📓 [Shaami: 6/494, Kitaabuz Zakaat]

*❧ Masla:* Kisi ek hi aadmi ko nisaab ke baqadr zakaat ka maal dedena makrooh hai aur jab kisi mustahiq ke paas nisaab ke baqadr maal jama hojaaye to use zakaat dena jaaiz nahin.

📓 [Shaami: 7/256, Baabu Masrafiz Zakaat]

*❧ Kin logon ko zakaat dena afzal hai?*

❧ Sab se pehle apne rishtedaar bhaai bahen aur un ki aulaad, chacha, phoophi, khaala, maamoon, saas, sasur, daamaad wagaira mein se jo zarooratmand hon un ko zakaat dena afzal hai. Is ke baad apne padosiyon ya apne shaher ke logon mein se jo ziyaada zarooratmand hon, phir jis ko dene mein Deen ka ziyaada nafa ho jaise ilme Deen ke talba. In logon ko zakaat dene mein dohra sawaab hai.

📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat]

   [[..Alhamdulillah Mukammal..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Saturday, 2 May 2020

Zakaat Part 9

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 09 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz nahin?*

(1) Woh shakhs jis par zakaat farz ho, aisa shakhs shareeat ki nigaah mein "Maaldaar" hai.

📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(2) Woh shakhs jis par zakaat to farz na ho lekin zaroorat se zaaid zameen, makaan ya koi aur saamaan furniture, bartan wagaira us ke paas maujood ho aur us ki qeemat nisaab ke baqadr ho.

📓 [Shaami: 7/238, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(3) Maan baap, Daada daadi, Naana naani oopar tak.

📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(4) Beta beti, Pota poti, Nawaasa nawaasi neeche tak.

📓 [Shaami: 7/230, Baabu Masrafiz Zakaat]

(5) Shohar, Bivi. 

📓 [Shaami: 27/226, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(6) Gair Muslim.

📓 [Shaami: 7/249, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(7) Maaldaar aadmi ki naabaalig aulaad. 

📓 [Shaami: 7/237, Baabu Masrafiz Zakaat] 

(8) Sayyed aur Bani Haashim (Abbaas, Haaris aur Abu Taalib ki aulaad).

📓 [Shaami: 7/245, Baabu Masrafiz Zakaat]

  [[..Next - 10, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Friday, 1 May 2020

Zakaat Part 8

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 08 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Kin logon ko zakaat dena jaaiz hai?*

*(1) Faqeer:* Woh shakhs jo saahabe nisaab na ho aur na us ke paas nisaab ke baqadr zaroorat se zaaid saamaan ho.

📓 [Shaami: 7/205, Baabu Masrafiz Zakaat] 

*(2) Miskeen:* Woh shakhs jis ke paas kuchh bhi na ho.

📓 [Shaami: 7/208, Baabu Masrafiz Zakaat] 

*(3) Qarzdaar:* Woh shakhs jis ke zimme logon ka qarz ho aur us ke paas itna maal na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi rahe.

📓 [Shaami: 7/219, Baabu Masrafiz Zakaat]

*(4) Musaafir:* Woh shakhs jo haalate safar mein mohtaaj hogaya ho (chaahe apne watan mein maaldaar ho) use baqadre zaroorat zakaat dena jaaiz hai.

📓 [Shaami: 7/223, Baabu Masrafiz Zakaat]

  [[..Next - 09, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Thursday, 30 April 2020

Zakaat Part 7

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 07 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(1) Agar saahabe nisaab banne ki qamri taareekh yaad na ho to gaur-o-fikr ke baad jis taareekh ka zan gaalib ho woh mutayyan hogi. Agar kisi taareekh ka bhi zan gaalib na ho to khud koi qamri taareekh mutayyan karle.

📓 [Ahsanul Fataawa: 4/255] 

(2) Agar nisaabe zakaat par saal mukammal hone se pehle koi zakaat ada karna chaahe to us ki ijaazat hai.

📓 [Shaami: 7/59, Baabu Zakaatil Ganam] 

(3) Saal ke darmiyaan jo maal badha us par saal ka guzarna zaroori nahin hai, saal ke mukammal hone se ek din pehle tak jo bhi maal aayega us ki zakaat nikaalna farz hai.

📓 [Shaami: 7/40-46, Baabu Zakaatil Ganam] 

(4) Agar kisi ke paas nisaab ke baraabar ya us se ziyaada maal hai aur us ke zimme qarz bhi hai to qarz ki miqdaar nikaalne ke baad nisaab ke baqadr maal rehta hai to baqiya raqm ki zakaat ada karna farz hai aur agar nisaab ke baqadr maal nahin rehta hai to zakaat farz na hogi. 

📓 [Shaami: 6/456, Kitaabuz Zakaat] 

(5) Agar saahabe nisaab ka doosre ke zimme qarz ho ya doosre ke zimme Saamaane tijaarat ki qeemat ho to doosri cheezon ke saath us ki bhi zakaat ada karde aur is ki bhi gunjaaish hai ke jab qarz ya saamaane tijaarat ki qeemat wasool ho is waqt pichhle saalon ki bhi zakaat ada kare, albatta aisa qarz jis ke milne ki bilkul ummeed na ho us par zakaat farz nahin.

📓 [Shaami: 7/97, Baabu Zakaatil Maal]

  [[..Next - 08, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Wednesday, 29 April 2020

Zakaat Part 6

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 06 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*​❧ Zakaat ada karna kab farz hai?* 

​❧ Zakaat ka jo nisaab shareeat ne muqarrar kiya hai us ke maalik hone ke baad qamri (islaami) taareekh ke etebar se jis taareekh ko ek saal mukammal hojaaye us taareekh ko zakaat ki adaayegi farz hojaati hai. 

​❧ Zakaat ki adaayegi ke liye shareeat mein Ramzaan ka maheena mutayyan nahin hai, balke har aadmi ke liye zakaat ka maheena aur taareekh alag alag hai, jis shakhs ke paas qamri maah ki jis taareekh mein nisaab ke baqadr maal aaye, us ke liye hamesha wahi taareekh zakaat ke hisaab ke liye mutayyan rahegi. Lihaaza woh shakhs usi taareekh mein zakaat ada karne ka ehtemaam kare, Ramzaan ka intezaar na kare, taakheer karna buri baat hai.

📓 [Shaami: 6/485, 497, Kitaabuz Zakaat] 

​❧ Maslan ek shakhs 2 Safar 1431H ko pehli baar nisaabe zakaat ka maalik huwa, saal ke darmiyaan maal ghatta badhta raha lekin agle saal 2 Safar 1432H ko us ke paas nisaab ke baqadr ya us se ziyaada maal maujood hai to us shakhs par apni milkiyat mein maujood sona, chaandi, naqd raqm, bank mein mahfooz raqm, tijaarati plot aur dukaan mein maujood tijaarati saamaan wagaira; sab ki majmooi qeemat jod kar 2.5% ke lihaaz se zakaat ada karna farz hai.

📓 [Shaami: 7/40, 46, Baabu Zakaatil Ganam]

  [[..Next - 07, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Tuesday, 28 April 2020

Zakaat Part 5

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 05 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(4) Makaan, dukaan, kaarkhaana, bartan, kapde, kitaabein, furniture, silaai machine, gaadi, kiraaye par di jaane waali cheezein, sanati aalaat aur woh machines jo saamaan tayyaar karti hain aur khud baaqi rehti hain chaahe kitni hi qeemat ke hon; un par zakaat farz nahin hai. Aibatta agar un mein se koi bhi cheez tijaarat ki hai, to us par zakaat farz hai. 

📓 [Shaami: 6/471, Kitaabuz Zakaat] 

(5) Sone chaandi ki bani huwi tamaam cheezon par zakaat farz hai. Jaise sone chaandi ke zewraat, bartan, sikke, tamge (medal) wagaira.

📓 [Shaami: 7/76, Baabu Zakaatil Maal] 

(6) Tijaarat ki garz se jo bhi cheez khareedi jaaye us par zakaat farz hai, khwaah woh zameen ho ya koi aur saamaan, is liye zakaat nikaalte waqt dukaan mein jitni cheezein bechne ki hon in sab ki qeemat ka hisaab laga kar zakaat nikaalna farz hai.

📓 [Badaaye Ussanaaye: 2/2, Kitaabuz Zakaat]

  [[..Next - 06, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Monday, 27 April 2020

Zakaat Part 4

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 04 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Mutafarriq Masaail ☆*

(1) Agar kisi ke paas sona ya chaandi donon hon, lekin kisi ek ka nisaab poora na ho, to donon ko mila kar qeemat lagaai jaayegi, agar donon ki qeemat mil kar sone ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ko pahonch jaaye, to zakaat farz hojaayegi.

📓 [Shaami: 7/89, Baabu Zakaatil Maal]

(2) Zakaat ada karte waqt ya zakaat ka maal alag karte waqt zakaat ki niyyat zaroori hai, yaani dil mein iraada ho ke zakaat nikaal raha hoon. Bagair niyyat ke zakaat ada na hogi, haan albatta kisi ko zakaat keh kar dena zaroori nahin, balke hadiya keh kar de to bhi zakaat ada hojaayegi.

📓 [Shaami: 6/489, Baabu Zakaatil Maal] 

(3) Zakaat mein sona, chaandi, tijaarati maal, ya un ki qeemat se kapda, galla ya koi aur saamaan khareed kar dena bhi jaaiz hai. 

📓 [Fataawa Daarul Uloom: 6/215]

  [[..Next - 05, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Sunday, 26 April 2020

Zakaat part 3

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 03 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*❧ Kis maal mein zakaat farz hai?*

(1) Sona.
(2) Chaandi. 
(3) Rupiye Paise. 
(4) Maale Tijaarat.(Har woh cheez jise bechne ke iraade se khareeda ho). 
(5) Zameen ki paidaawaar. 
(6) Maweshi (Paaltu Jaanwar). 

*❧ Zakaat ka Nisaab:* Jin maalon mein zakaat farz hai, shareeat ne un ki khaas khaas miqdaar muqarrar kardi hai; mal ki usi khaas miqdaar ko “Nisaab" kehte hain. Jab nisaab ki miqdaar kisi ke paas poori hojaaye, to us par zakaat farz hojaati hai aur aise shakhs ko “Saahabe Nisaab" kehte hain. 

*(1) Sone ka nisaab:* 87gm 480mlg hai.

📓 [Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254] 

*(2) Chaandi ka nisaab:* 612gm 360mlg hai.

📓 [Shaami: 7/68, Baabu Zakaatil Maal, Ahsanul Fataawa: 4/254] 

*(3) Rupiye Paise ka nisaab:* Rupiya paisa; sona ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ki qeemat ke baraabar ho.

📓 [Shaam: 7/81 , Baabu Zakaatil; Maal] 

*(4) Maale Tijaarat ka nisaab:* Maale Tijaarat; sona ya chaandi mein se kisi ek ke nisaab ki qeemat ke baraabar ho. 

📓 [Shaami: 7/75, Baabu Zakaatil Maal]

*❧ Tambeeh:* Aaj kal chaandi ki qeemat sone ke muqaable mein kai guna kam hone ki wajah se chaandi ka nisaab jald poora hojaata hai, is liye chaandi ke nisaab ki qeemat dekhi jaati hai.

*❧ Zakaat ki miqdaar:* Sona, chaandi, Rupiya Paisa aur Maale Tijaarat ki zakaat mein poore maal ka 40th hissa (2.5%) dena farz hai.

📓 [Shaami: 7/75, Baabu Zakaatil Maal] 

*(5) Zameen ki paidaawaar:* Zameen ki paidaawaar jitni miqdaar mein bhi ho us mein 10th hissa (10%) zakaat hai jis ko “Ushr” kaha jaata hai. 

*(6) Maweshi:* Maweshi mein se bakri, gaaye, bail, oont wagaira mein zakaat farz hone ke mukhtalif nisaab Shareeat ne muqarrar kiye hain aur un mein zakaat ki miqdaar bhi mukhtalif rakhi hai.

  [[..Next - 04, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Zakaat part 2

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 02 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

*❧ Zakaat farz hone ki shartein:*

(1) Musalmaan hona.

(2) Aazaad hona. 

(3) Aaqil hona.

(4) Baalig hona. 

(5) Nisaab ke baqadr maal ka maalik hona. 

(6) Nisaab ka buniyaadi zarooraton aur qarz se khaali hona. (Saahabe Nisaab par itna qarz na ho ke qarz ada karne ki soorat mein nisaab ke baqadr maal baaqi na rahe). 

(7) Nisaab par qamri (Islaami) saal ka guzar jaana.

📓 [Shaami: 6/452-455, Kutaabuz Zakaat] 

*❧ Buniyaadi Zaroorat:* Rehne ka makaan, pahenne ke kapde, ghar ka saaz-o-saamaan aur istemaal ki sawaari (gaadi) insaan ki buniyaadi zarooraton mein daakhil hain.

  [[..Next - 03, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Zakaat part 1

🍃🍃🍃

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

                 💸  *Zakaat*  ​💸
             
                  *​✾ Part - 01 ​✾*
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

        *☆ Zakaat ke Masaail ☆*

❧ Allah Ta'ala ki raza ke liye apne maal ki muqarrarah miqdaar kisi mustahiq musalmaan ko maalik banaakar dedene ka naam *"Zakaat"* hai.

📓 [Shaami: 6/445, Kitaabuz Zakaat]

*❧ Fazeelat:* Zakaat ada karne se maal ki hifaazat hoti hai aur maal ki buraaiyon aur us ke fitnon se aadmi mehfooz hojaata hai, Hadees Shareef mein hai: Jis shakhs ne apne maal ki zakaat ada ki woh maal ke shar (buraai) se mahfooz hogaya.

📓 [Tabraani Ausat: 1579]

❧ Zakaat ada na karne par Qur'aan-o-Hadees mein bahot hi sakht sazaaein bayaan ki gai hain. Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jin logon ko Allah Ta'ala ne maal diya aur woh us ki zakaat ada nahin karte, qayaamat ke din un ka yeh maal ek bahot hi zehreele aur ganje saanp ki shakl mein saamne aayega aur un ki gardan se lipat jaaye aur un ke jabdon ko noch noch kar kahega: Main tumhaara jama kiya huwa maal hoon, main tumhaara khazaana hoon.

📓 [Sahih Bukhaari: 4103]

*❧ Zakaat ka hukm:* Zakaat dena farz hai, Qur'aan Majeed aur ahaadees se is ki farziyat saabit hai, jo shakhs is ki farziyat ka inkaar kare woh kaafir hai. Aur jo shakhs maaldaar hote huwe zakaat ada na kare woh sakht gunahgaar hai.

📓 [Fataawa Hindiyah: 1/170, Kitaabuz Zakaat]

  [[..Next - 02, Soon In Sha Allah..]]

   *✍🏼 Ref:* Deeniyat Course book
❁〰✸〰❁〰✸〰❁〰✸〰❁

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 21

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 21

(Subeh se Shaam Tak Ke Amaal)

☆ Fajar se Zuhar Tak ke Amaal,

✾ 1- Subeh Tahajjud ka ahatmam karna chahiye chahe 2 raka’ate hi kyu na ho,

✾ 2- Subeh Savere kam se kam ek para Quran Paak ki Tilawat,

✾ 3- Masjid me jaldi jaakar pehli saf me bethne ka ahatmam aur 2 raka’at Sunnat,

✾ 4- Khushu v Khuzu ke saath 2 raka’at Farz ka ahatmam,

✾ 5- Namaz ke baad Tasbihaat fir Dua ka ahatmam,

✾ 6- Namaz ke baad Subeh ke masnoon Azkaar ka ahatmam,

✾ 7- Suraj Tulu hone tak na soiye balki Tulu ke 20 minutes baad Namaze ishraak padhe, Fir chahe thodi der so jaiye,

✾ 8- Zawaal se pehle Namaze Chaasht ka ahatmam,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 22, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 20

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 20

☆ Sadqa e Fitr Ada karna,

✾ Ramzan me hi sadqa e Fitr Ada karne ka ahatmam kare,

              *Al-Hadees *

✾” Hadees paak me Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai k

Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne sadqa e Fitr ko wajib karaar diya he,”

↳® Bukhari, Muslim,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 13
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 21, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 19

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 19

☆ Shabe Qadar ki talaash karna,

✾ Khususan Ramzan ke Aakhri ashre ki Taak raato (21,23,25,27,29) me shabe Qadar ki talaash me rahe,

              *Al-Hadees *

✾ ” Hadees paak me aaya he k shabe Qadar ko Ramzan ke Aakhri ashre ki taak raato me talaash karo, ”

↳® Bukhari, Muslim Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 20, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 18

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 18

☆ Akhri ashre ka Aitkaaf karna,

✾ Ramzan Mubarak me Aakhri ashre ka Aitkaaf karne ka ahatmam kare,

              *Al-Hadees *

✾ ” Hadees Sharif me aata he k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke akhri ashre ka aitkaaf farmaya karte the,”

↳® Bukhari Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 19, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 16

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 16

☆ Maahe Ramzan me zakaat Ada karna,

✾ Agar maale nisaab ko pahunche to maal ki zakaat Ada karne ka ahatmam kare,

               *Al-Quran *

✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k namaz qaayam karo aur zakaat Ada karo aur ruku karne walo ke saath ruku karo yani jamaat ke saath namaz Ada kiya karo,”

↳® Surah Al- Baqrah, 43

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 17, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 17

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 17

☆ Tahajjud ki namaz Ada karna,

✾ Rozana tahajjud ki namaz ka ahatmam karna,

               *Al-Quran *

✾ “Allah ta’aala ka irshad he,
unke pehlu bistaro se door rehte hai

aur khof aur ummeed ke saath apne rab ko pukarte hai

aur Jo humne unko de rakha he usko raahe Khuda me kharch karte hai,”.

↳® Al Qur’an

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 12
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 18, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat 15

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 15

☆ Duao ka ahatmam karna,

✾ Har roz khaas tor per 30 minutes Dua maangne ka ahatmam kare,

               *Al-Quran *

✾ “Allah ta’aala ka irshad he k Jo mujhse dua maangta he, me uski duae qubool karta hu,”

↳® Al- Quran,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 16, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 14

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 14

☆ Har namaz ke baad zikr karna,

✾ Rozana har namaz ke baad zikr ki pabandi kare, khaskar Tasbihe Fatima zaroor padiye,

               *Al-Quran *

✾ ” Allah ta’ala ka irshad he k Allah ta’ala ka kasrat se zikr karne wale mard aur Aurato ke liye magfirat aur ajre azeem ka vaada he,”

↳® Al- Quran,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 15, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 13

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 13

☆ Chast ki namaz ki pabandi karna,

✾ Chast ki namaz ki rozana
pabandi kare,

☆ Vitr ki namaz ka ahatmam karna,

✾ Vitr ki namaz ka rozana sone se pehle ahatmaam kare,

              *Al-Hadees *

✾ ” Hadees Sharif me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai k mujhe mere khaleel Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne 3 cheezo ki vasiyat farmayi,

1- Har maah 3 roze rakhne ki,

2- Chast ki namaz padne ki, or

3- Sone se pehle Vitr ki namaz ada karne ki,

↳ Tirmizi sharif

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 11
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 14, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 12

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 12

☆ Har Jumeraat (Shab guzari) ya juma ko Aitkaaf karna,

✾ Jumeraat ko apni masjid me shab guzari kare aur ho sake to Kam se kam Fajar ki namaz se lekar ishraak tak rozana aitkaaf kar liya kare,

              *Al-Hadees *

✾” Hadees paak me Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,

” Jis shakhsh ne fajar ki namaz bajama’at padi aur fir zikre ilaahi me mashgool ho gaya,

yaha tak k suraj tulu’a ho gaya fir usne 2 raka’at padhi, to usko ek mukammal hajj aur umrah ka sawab milega ,”

↳® Tirmizi Sharif

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 13, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 11

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 11

☆ Dawate illallah dena,

✾ Rozana kam se kam ek Aadmi ko Allah ke deen ki taraf bulaya kare,

              *Al-Hadees *

✾ ” Hadees me aata he, k agar Allah ta’ala Teri vajah se ek Aadmi ko bhi hidayat de de to tere liye surkh ounto se zyada behtar he,”

↳® Muslim Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 12, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 10

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 10

☆ Islamic Kitaabe’n Padhna aur Bayanaat sunna,

✾ Rozana kam se kam 15-20 minutes Islamic Kitaabo ka muta’ala ya 1 ghanta Islamic bayanaat sunne ka ahatmam kare,

☆ Ek mareez ki ayadat karna,

✾ Rozana ya hafte me kam se kam ek mareez ki ayadat ka ahatmam kare,
(agar mareez ho to),

             *⚡Al-Hadees ⚡*

✾” Jo sakhsh Shaam ke waqt kisi mareez ki ayadat kare to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he’n, Jo subeh tak uske liye istigfaar karte he’n,
Aur Jo sakhsh subeh ke waqt kisi mareez ki ayadat ko jaye to uske humraah 70 hazaar farishte chalte he’n Jo Shaam tak uske liye istigfaar karte he’n,

↳® Abu Dawood, 2/442

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 10
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 11, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 9

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 09

☆ Ek martaba umrah karna,

✾ Ho sake to poore mahine me ek martaba umrah kare,

              *Al-Hadees *

✾ Hadees me aaya he k,

” Ramzanul Mubarak me umrah karna hajj ke barabar he,”

↳® Bukhari Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 10, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 8

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 08

☆ Janaze ki namaz me shirkat

✾ Agar kisi ka inteqal ho jaye to janaze ki namaz me shirkat kare ya fir janaze ke saath chale,

              *Al-Hadees *

✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,

” Jisne janaze me janaze ki namaz padhi aur Tadfeen me shareek nahi hua to usko ek kiraat sawab milega
Aur Tadfeen me shareek hua, usko 2 kiraat sawab milega,

Kiraat ki kam se kam miqdaar uhad pahaad ke barabar he,”

↳® Muslim Sharif 

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 09, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 6

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 06

☞ Allah ke Raaste me sadqa dena,

✾ Kam se kam hafte me ek baar Allah ke Raaste me sadqa dene ka ahatmam kare,

              *Al-Hadees *

✾ ” Hadees paak me he k,

” Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam sabse zyada sakhi the, aur Ramzan Mubarak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat aur zyada hoti thi, ”

↳® Bukhari Sharif

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 07, Soon inSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 7

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 07

☆ Rozedaro ko aftaar karana,

✾ Rozedaro ko aftaar karane ka ahatmam kare, roz karaye to bahut achhha he,

              *Al-Hadees *

✾ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,

” Jisne rozedaro ko aftaar karaya usko rozedaro ke barabar sawab milega Aur rozedaro ke sawab me kuchh bhi kami nahi kiya jayega,”

↳® Tirmizi Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 9
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 08, Soon inSha Allah

Saturday, 25 April 2020

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 5

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 05

☞ Qareebi Rishtedaro ke saath silah- rehmi karna,

✾ Rozana rishtedaro se mulakaat kare, kam se kam hafte me ek din iske liye khaas kare,

               *Al-Hadees *

✾ ” Hadees paak me aaya he k,

” Rishtedari Arshe ilaahi ke saath latak kar kehti he k jisne mujhe joda Allah usko jode aur jisne mujhe kaata Allah usko kaate, ”

↳® Muslim Sharif ,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 06, Soon InSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 2

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 02

☞ Ramzan me Kam se Kam 2 Qurane Paak Khatm Karne Ka Ahatmaam,

✾ kam se kam 2 Quran paak ramzan ul Mubarak me khatam karne ka ahatmam kare,

             *Al-Hadees *

✾ Hadees paak me he k

➣, Qurane paak ki tilawat kiya karo, kyuki ye (Quran paak) qayamat ke din apne padne walo ke liye Shafi’ bankar aa’ega, ”

↳® Muslim Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 03, Soon in Sha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 4

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 04

☞ Namaze Taraveeh ka ahatmam karna,

✾ Namaze Taraveeh ka ahatmam Pure Ramzan kiya jaye,

             *Al- Hadees *

✾ ” Hadees paak me Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,

”Jisne ramzan Mubarak me Eymaan ke saath sawab ki niyat se qayaam kiya (yani taraveeh padhi) to uske agle pichhle gunaah maaf kar diye jate hai’n ,”

↳® Bukhari Sharif

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 05, Soon InSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat part 3

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 03

☞ Quran paak ka kam se kam ek paara hifz karna,

✾ Rozana 5 aayaat hifz kare to poore mahine me ek paara hifz ho ja’ega,

              *Al-Hadees *

✾” Hadeese paak me aaya he k,

” jis dil me Quran paak ka koi hissa mojood na ho wo veerane ghar ki tarah he, ”

↳® Bukhari Sharif

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 04, Soon InSha Allah

Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat Part 1

🌙🌙🌙

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Ramzan Ke Liye Nizamul Avqaat*

                     PART— 01

☞ Paancho Namazo me Takbire Avla Ka Ahatmaam,

✾ Takbeere aula ka ahatmam kijiye,

➤ yani namazo ko safe avval me takbeere avla ke saath Ada kiya jaye,

         Al-Hadees

✾” Hadees paak me he k Jis shakhsh ne 40 din tak takbeere avla ke saath namaz Ada ki to uske liye 2 bara’ate likhi jati he’n, Avval jahannam se khalasi (Azaadi) Aur doosri Nifaak se khalasi, ”
↳® Tirmizi Sharif,

↳® Ramzan kis Tarah Guzare, 8
┄─━━━━□□□━━━━─┄
╟❥ Next Post - 02, Soon in Sha Allah